Zinda Pak

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Zinda Pak

chat, music, fourm, radio, much more.....

Latest topics

» ------ MASHALLAH -------
Urdu Poetry EmptyThu Mar 21, 2013 1:15 pm by javeriaislam

» Is there any herbal treatment for schizophrenia???
Urdu Poetry EmptyWed Mar 13, 2013 2:48 am by Emaan

» Ramdan Mubarak
Urdu Poetry EmptyFri Jul 20, 2012 3:10 am by HAQ

» A girls Heart outside her body - GRAPHIC video
Urdu Poetry EmptyTue Jun 12, 2012 2:56 am by HAQ

» 'A Talk with the Self '
Urdu Poetry EmptyThu Jun 07, 2012 2:11 am by HAQ

» Welcome ZEE
Urdu Poetry EmptyWed Jun 06, 2012 3:42 am by HAQ

» Welcome Noor7174
Urdu Poetry EmptyWed Jun 06, 2012 3:38 am by HAQ

» Beauty Tips ....
Urdu Poetry EmptyMon May 28, 2012 2:08 am by HAQ

» ProProtect Your Heart
Urdu Poetry EmptyMon May 28, 2012 1:51 am by HAQ

Navigation

Affiliates

September 2024

MonTueWedThuFriSatSun
      1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30      

Calendar Calendar

Keywords

Log in

I forgot my password


2 posters

    Urdu Poetry

    HAQ
    HAQ
    Admin
    Admin


    Mensajes : 5748
    Fecha de inscripción : 2009-07-10
    Edad : 41
    Localización : Barcelona.

    Urdu Poetry Empty Urdu Poetry

    Post  HAQ Tue Aug 11, 2009 4:58 pm

    Khouf-E-Dunia Se Meray Paas Na Aanay Walay
    Jaan Rakhtay Hain Hatheli Pe Nibhanay Walay

    Meri Ruswai Main Ghairon Ka Koi Dosh Nahi
    Is Main Shamil Hain Meray Apne Chahnay Walay

    Kitna Nadan Hoon is Aas Pe Zinda Hoon
    Laut Aayen Ge Mujhe Chor Ke Janay Walay

    Ab Kahon Tujh Ko Mein Mohsin Tou Bhala Kesay Kahon
    Kar Kay Ehsaan Sar-E-Aam Jatanay Walay

    Ab Tou Rasta Hai Na Manzil Hai Na Shanasa Hai Koi?
    Shukriya Tera Mujh Ko is Mor Pay Laanay Walay
    _____________________________________________________________________

    Mujhay Khud Say Hain Shikayatain Mujhay Zindagi Say Gila Nahi
    Ke Jo Chaha Mein Nay Wo Paa Lia Nahi Aesa Kuch Jo Mila Nahi

    Meray Aass Paas Hai Roshni Meray Raaston Main Chiragh Hain
    Yeh Teray Karam Ka Hai Mojza Meri Justuju Ka Sila Nahi

    Teri Aankh Say Jo Haseen Ho Wo Nigah Jag Main Bani Nahi
    Teray Rukh Ko Jis Say Misaal Doon Koi Aesa Phool Khila Nahi

    Ye Jo Teri Zulf Ka Hai Haashiya, Ye Jo Tera Chehra Hai Khush-Numa
    Koi Raat Aesi Siyaah Nahi Kisi Subah Mein Yeh Jila Nahi

    Ye Jo Mehr-O-Maah Ki Hain Halatain Ye Jo Aaiyenon Ki Hain Hairatain
    Hain Azal Say Sab Yeh Isii Tarah Koi Apni Jaa Say Hila Nahi

    _______________________________________________________________________

    Patjhar Se Mein Chahat Ki Ada Maang Raha Hoon
    Beydard Se Ehsaas-E-Wafa Maang Raha Hoon

    Umeed-E-Karam Jis Se Nahi Dil Ne Lagayi
    Kyun Apne Liye Us Ki Dua Maang Raha Hoon

    Wo Kaisa Maseeha Tha Jisay Daikh Ke Sochoon
    Bimaar Se Kyun Apni Shifa Maang Raha Hoon

    Dewana-E-Duniya Tou Hai Khud Chaak Geraibaan
    Wehshi Se Mein Kab Band-E-Qaba Maang Raha Hoon

    Kab Meri Raza Teri Raza Se Rahi Barh Kar
    Mein Teri Raza Main Tou Raza Maang Raha Hoon

    Ye Sabar Tou Mauqoof Hai Bas Roz-E-Jaza Tak
    Duniya Main Kahan Uski Jaza Maang Raha Hoon

    _______________________________________________________________________

    Teri Tasweer Meri Ankhon Main Basi Kyun Hai
    Jidhar Dekhoon Bas Udhar Tu Hee Kyun Hai

    Teri Yaadon Say Wabasta Meri Takdeer Hai Lekin
    Tujhe Na Paa Kar Meri Takdeer Roothi Kyun Hai

    Mujh Ko Hai Khabar Asaan Nahi Tujhe Haasil Karna
    Phir Bhi Yeh Intizaar Yeh Bekarari Kyun Hai

    Barson Guzar Gaye Meray Tanhayee Main Lekin
    Meri Baanhon Ko Aaj Bhi Tera Intizaar Kyun Hai

    Teri Chahat Ki Kasam Khoon Kay Aansoo Roya Hoon
    Ab Nahi Hai Kuch Baqi Phir Ye Jaan Baqi Kyun Hai

    Khatam Huwa Mera Yeh Afsana Ek Baat Bata Do Lekin
    Anjaam Tha Maloom Mujh Ko Phir Ye Muhabbat Kyun Hai

    _________________________________________________________________________

    Hum Yusuf-E-Zamaan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hai
    Tum Hum Pe Meherbaan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hai

    Wo Din Bhi Thay Ke Hum Hee Tumhari Zaban Pe Thay
    Mozu-E-Dastaan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hai

    Aey Karwaan-E-Inqilaab-0-Gul ! Tum Ko Yaad Ho
    Hum Meer-E-Karwaan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hai

    Jin Doston Ki Kami Hai Aaj Hayaat Main
    Wo Apnay Darmeyaan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hai

    Kuch Haadson Se Gir Gaye Hum Zameen Par
    Hum Rashk-E-Aasmaan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hai
    _________________________________________________________________________

    Aankhon Se Meray Is Liye Laali Nahi Jati
    Yaadon Se Koi Raat Jo Khaali Nahi Jati

    Ab Umar Na Mausam Na Wo Rastay Ke Wo Paltay
    Is Dil Ki Magar Khaam Khayaali Nahi Jati

    Maloom Hamain Bhi Hain Bohot Se Teray Qissay
    Par Baat Teri Hum Se Uchaali Nahi Jati

    Hamraah Teray Phool Khilati Thi Jo Dil Main
    Ab Shaam Wo Dard Se Khaali Nahi Jati

    Hum Jaan Se Jayen Ge Tabhi Baat Banay Gee
    Tum Se Tou Koi Raah Nikaali Nahi Jati
    _________________________________________________________________________

    Falsafay Ishq Main Paish Aaye Sawalon Ki Tarha
    Hum Pareshan Hi Rahay Apnay Khayalon Ki Tarha

    Sheeshagar Bethay Rahay, Zikr-E-Maseeha Le Kar
    Aur Hum Toot Gaye Kaanch Ke Pyaalon Ki Tarha

    Jab Bhi Anjaam-E-Mohabbat Ne Pukara Khud Ko
    Waqt Ne Paish Kiya Hum Ko Misaalon Ki Tarha

    Zikr Jab Hoga Mohabbat Main Tabahee Ka Kabhi
    Yaad Hum Aayen Gey Duniya Ko Hawaalon Ki Tarha

    _________________________________________________________________________

    Galiyon Se Meri Tum Ne Guzar Kar Nahi Dekha
    Gham Ye Hai Ke Khushiyon Ne Mera Ghar Nahi Dekha

    Mehroom Hai Wo Pyar Ki Daulat Se Abhi Tak
    Dil Jis Ne Kaheen Apna Laga Kar Nahi Dekha

    Gumnaam Hai Wo Phool Gulistan-E-Jahan Main
    Dulhan Ki Tarah Jis Ne Sanwar Kar Nahi Dekha

    Ye Sach Hai Mera Qatl Sar-E-Aaam Hua Hai
    Kis Ka Tha Meri Peeth Pe Khanjar Nahi Dekha

    Dil Cheer Ke Niklay Tou Hain Ashaar Ye Meray
    Afsos inhain Aap Ne Parh Kar Nahi Dekha
    _________________________________________________________________________

    Teri Aankhon Main Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
    Jisay Dewaar Samjha Hai Woh, Rasta Ho Bhi Sakta Hai

    Nazar Se Durr Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna
    Kisi Kay Paas Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai

    Wo Apni Sard Mehri Se Mujhay Had Main Tou Rakhta Hai
    Mera Had Sey Guzarnay Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai

    Bhari Duniya Ka Maila Saath Ho Tou Kaun Si Mushkil
    Magar Ek Shakhs Mailay Main Akaila Ho Bhi Sakta Hai

    Yeh Seedhi Raah Par Chalna Kahan Se Seekh Aaye Ho?
    Yeh Rasta Dosti Ka Hai Yeh Tairha Ho Bhi Sakta Hai

    Machalta Thokrain Khata Hua Paani Ka Ek Dhaara
    Teray Dil Tak Pohonchnay Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai

    Nikal Kar Band Kamray Sey Zara Baazar Main Aao
    Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai

    ___________________________________________________________________________

    Wo Shakhs Mujh Ko Jeet Ke Hara Hai Aur Bas
    Itna Hee Zindagi Ka Khasara Hai Aur Bas

    Kaisay Kahoon Ke Us Ka Irada Badal Gaya
    Sach Tou Yahi Hai Us Ne Pukara Hai Aur Bas

    Duniya Ko Is Main Dard Ki Shiddat Kahan Milay
    AankhoN Say Aik Toot’ta Hua Taara Hai Aur Bas

    Lafzon Main Dard-E-Hijr Ko Mehsoos Kar Ke Dekh
    Kehnay Ko Main Nay Waqt Guzara Hai Aur Bas

    Ab In Main Koi Khwab Sajanay Nahi Mujhay
    Aankhon Ko Intazar Tumhara Hai Aur Bas

    Mein Ne Kaha Ke Khwab Main Dekhi Hain Barishain
    Uss Nay Kaha Kay Aik Isharaa Hai Aur Bas

    __________________________________________________________________________

    Silsilay Jo Wafa Kay Rakhtay Hain
    Hoslay Inteha Kay Rakhtay Hain

    Hum Kabhi Bad-Duwa Nahi Detay
    Hum Salikay Dua Kay Rakhtay Hain

    Un Kyy Daaman Bhi Jaltay Dekhay Hain
    Wo Jo Daaman Bacha Kay Rakhtay Hain

    Hum Nahi Hain Shikast Kay Qaail
    Hum Safinay Jala Kay Rakhtay Hain

    Jis Ko Jaana Hay Wo Chala Jaaye
    Hum Diye Sab Bujha Kay Rakhtay Hain

    Hum Bhi Kitnay Ajeeb Hain Aey! Dost
    Dard Ko Dil Bana Kay Rakhtay Hain
    ___________________________________________________________

    Pyar Kartay Hain Magar Shart-E-Wafa Rakhtay Hain
    Log Kaisay Hain Ke Khud Hee Se Reya Rakhtay Hain

    Aaj Dastoor-E-Mohabbat KI Ada Tou Dekho
    Wo Talabgaar-E-Wafa Hain Jo Jafa Rakhtay Hain

    Hum Ko Dhoka Hee Mila Dost Kaha Hai Jis Ko
    Dil Main Par Shamma-E-Umeed Jala Rakhtay Hain

    Kya Talab Hogi Jahan Bhar Ke Khazanon Ki Ke Hum
    Jee Main Posheeda Jahaano Ka Khuda Rakhtay Hain

    Jin Ka Har Lafz Hai Khanjar Tou Nazar Atishi Teer
    Hum Faqat Un Ke Liye Harf-E-Dua Rakhtay Hain

    Sochtay Hain Ke Bas Ab Dil Ka Sabhi Haal Kahain
    Har Mulaqat Main Par Saath Haya Rakhtay Hain

    Wo Phir Acha Bura Duniya Se Sila Kya Maangain
    Shamil Har Kaam Main Jo Us Ki Raza Rakhtay Hain

    ___________________________________________________________

    Mujhe Kitnay Hee Barson Se Agarchay Janta Hai Wo
    Yeh Kaisa Zulm Hai Kay Ajnabi Gardaanta Hai Wo

    Meray Hathon Ne Jis Ko Chand Jaisa Roop Bakhsha Tha
    Mujhay Taareek Lamhon Main Kahan Pehchanta Hai Wo

    Main Usay Apna Bananay Ke Gumaan Main Hoon
    Mujhe Maloom Hai Ke Kab Kisi Ki Maanta Hai Wo

    Sahara Maangta Hai Sirf Tanhaai Ke Lamhon Main
    Muhabbat Ka Taluq Kab Kisi Se Baandhta Hai Wo

    Mein is Duniya Ke Har Ek Jabr Ko Phir Bhool Jata Hoon
    Jab Apnay Qurb Se Meray Badan Ko Dhaanpta Hai Wo

    Mera Dil Chahata Hai Us Ko Seenay Se Laga Loon Mein
    Ridaa-E-Gham Ko Jab Bhi Apni Rooh Pe Taanta Hai Wo

    Mujhe Jab Dukh Milain Tou Kis Qadar Khushiyaan Manata Hai
    Chalo Jana Kisi Tarah Tou Mujh Ko Jaanta Hai Wo

    ____________________________________________________________

    Guzar Rahay Hain Jo Mujh Pe Azaab, Us Kay Hain
    Ke Meri Chashm-E-Tamanna Main Khwaab Us Kay Hain

    Mein Zakhm Zakhm Hoon Mera Naseeb Hain Kantay
    Woh Rang Rang Hai, Saaray Gulaab Us Kay Hain

    Kitaab Meri, Qalam Mera, Soch Bhi Meri
    Magar Jo Likhay Hain Mein Ne Wo Baab Us Kay Hain

    Nahi Hai Meray Muqaddar Ka Aik Bhi Taara
    Ye Kehkeshaan Ye Maah-0-Aab Us Kay Hain

    Wisaal-0-Hijr Ka Mausam Usi Ka Mausam Hai
    Sawaal Meray Hain Shayad Jawab Us Kay Hain

    Woh Merii Zaat Ka Ek Mustanid Hawaala Hai
    Kitaab-E-Ishq Kay Saaray Nisaab Us Kay Hain

    Mein Hairaton Kay Samandar Main Gharq Hoon Ke
    Tamaam Aks Sir-E-Sath-E-Aab Us Kay Hain
    _____________________________________________________________

    Teri Yaad Vird-E-Zubaan Hui Tou Ajab Rang Dikha Gayee
    Kabhi Ash Ankh Mai Agaye Kabhi Aah Dil Main Sama Gayee

    Ye Jo Ek Shab Ka Hijaab Hai Isay Darmiyan Se Hata Kabhi
    Kay Tulu-E-Subha Ki Arzoo Meri Kitni Neendain Ura Gayee

    Meray Zoq-e-Sajda Ke Samnay Mera Koi Gham Na Teher Saka
    Wohi Ek Lamhay Ki Haazri Meri Har Khalish Ko Mita Gayee

    Meray Ghar Say Teray Ghar Tak Ye Wohi Sunehri Gulaab Thay
    Jinhay Ansoon Ki Bahar-E-Nau Meray Rastay Mai Bicha Gayee

    Teray Jalwa-E-Bemisal Say Meray Baam-0-Dar Bhi Laraz Gaye
    Teri Ek Jumbish-E-Baysada Meray Jism-0-Jaan Ko Hila Gayee
    _________________________________________________________________

    Duniya Se Mujhe Pyar Tha,Sab Bhool Chuka Hoon
    Ek Shakhs Mera Yaar Tha,Sab Bhool Chuka Hoon

    Woh Hijr Ki Raaton Kay Sulagtay Huay Lamhay
    Aankhon Pe Koi Baar Tha,Sab Bhool Chuka Hoon

    Haan Meri Khata Thi Kay Tujhay Toot Kay Chaha
    Haan Mein Hee Gunehgaar Tha,Sab Bhool Chuka Hoon

    Ab Gham Mujhay Deemak Ki Tarah Chaat Raha hai
    Khushiyon Se Mein Sarshaar Tha Sab Bhool Chuka Hoon

    Bakhshi Hai Mujhe Pyar Ke Badlay Main Judaai
    Jo Bhi Tera Kirdaar Tha,Sab Bhool Chuka Hoon

    Aankhain Shab-E-Furqat Main Raha Karti Theen Pur Nam
    Mein Tera Talab Gaar Tha,Sab Bhool Chuka Hoon

    Bas Itna Mujhe Yaad Hai Ek Wasl Ki Shab Thi
    Iqraar Tha,Inkaar Tha,Sab Bhool Chuka Hoon

    Ek Shakhs Nay Pagal Sa bana Rakha Hai Mujh Ko
    Mein Kitna Samajh Daar Tha Sab Bhool Chuka Hoon
    ____________________________________________________________________

    Takleef-E-Hijr Dey Gai Hai Raahat Kabhi Kabhi
    Badla Hai Yun Bhi Rang-E-Mohabbat Kabhi Kabhi

    Dil Ne Teri Jafa Ko Saharaa Samajh Liya
    Guzri Hai Yun Bhi Hum Pe Museebat Kabhi Kabhi

    Duniya Samjh Na Lay Teray Gham Ki Nazakatain
    Karta Hoon Zeray-Lab Jo Shikayat Kabhi Kabhi

    Hai Jis Taraf Nigaah Tawajja Udhar Nahi
    Hoti Hai Berukhi Bhi Inaayat Kabhi Kabhi
    ___________________________________________________________________

    Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
    Had Ye Ke Dharaknay Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki

    Tabeer Ka Aeizaaz Hua Hai Usay Haasil
    Jisne Meray Khuwabon Main Shiraakat Bhi Nahi Ki

    Ulfat Tou Bari Baat Hai Humse Tou Sar-E-Shehar
    Logon Nay Kabhi Dhang Sey Nafrat Bhi Nahi Ki

    Aadaab-E-Safar Ab Wo Sikhaate Hain Jinhon Ne
    Do Chaar Qadam Thay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki

    Kya Apni Safaayi Main Bayaan Detay Ke Humne
    Na Karda Gunaahon Ki Wazaahat Bhi Nahi Ki

    Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar-E-Bazm
    So Zakham Sahay Dil Pe , Shikaayat Bhi Nahi ki

    Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhay Chornay Aaye
    Dehleez Talak Us Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki

    Usne Bhi Ghulamon Ki Safon Main Humein Rakha
    Iss Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki
    ______________________________________________________________

    Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Sii Shaam Honay Do
    Mein Khud Hee Laut Jaoonga Mujhay Nakaam Honay Do

    Mujhay Badnaam Karnay Ke Bahanay Dhoondtay Ho Kyun?
    Mein Khud Ho Jaoonga Badnaam Pehlay Naam Honay Do

    Abhi Mujh Ko Nahi Karna Hai Aetaraf-E-Shikast
    Mein Sab Tasleem Ker Loonga Ye Charcha Aam Honay Do

    Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta
    Wafaain Baich Lena Par Zara Neelam Honay Do

    Naye Aaghaz Main Hi Hosla Kyun Tor Bethay Ho
    Jeet Jao Gey Tum Sab, Zara Anjaam Honay Do
    ______________________________________________________________

    Khush Thay Kuch Aesey Teri Rafaqat Ke Shauq Main
    Manzil Ganwa Dee Hum Ne Musaafat Ke Shauq Main

    Nafrat Hee Pehray Daar Mili Har Makaam Par
    Jis Dar Pe Hum Gaey Hain Mohabbat Ke Shauq Main

    Hum Baargah-E-Ishq Main Maqbool Yoon Huey
    Khud Se Bichar Gaey Teri Qurbat Ke Shauq Main

    Lautay Hain Ab Tou Saath Hai Ranj-0-Alam Ki Bheer
    Niklay Thay Ghar Say Ek Musarrat Kay Shauq Main

    Apnay Chaman Se Raabta Bilkul Nahi Raha
    Sehra Neelam Ho Gaey Daulat Ke Shauq Main

    Daaman Main Hasraton Kay Siwa Kuch Nahi Raha
    Aesey Lutay Hain Hum Teri Chahat Ke Shauq Main
    _______________________________________________________________

    Kisi Ki Aas Ban Kar Phir Usay Tanha Nahi Karna
    Bhalay Kuch Bhi Paray Karna Magar Aesa Nahi Karna

    Khabar Kya Kis Ghari Wo Raakh Kar Daalay Teray Sapne
    Yoon Hee Jaltay Sharaaron Se Kabhi Khela Nahi Karna

    Na Ho Aesa Ke Yaadain Rooh Ka Sartaan Ban Jayen
    Kabhi Hadd Se Zyaada Tum Usay Socha Nahi Karna

    Mohabat Maia Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
    Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswaa Nahi Karna

    Wafayain Dar-Haqeeqat Bepanah Anmol Hoti Hain
    Kabhi Apni Wafaaon Ka Sila Maanga Nahi Karna

    Kahi Aesa Na Ho Wo Apni Manzil Ka Nishaan Kho De
    Kisi Ka Saath Rastay Main Kabhi Chora Nahi Karna
    HAQ
    HAQ
    Admin
    Admin


    Mensajes : 5748
    Fecha de inscripción : 2009-07-10
    Edad : 41
    Localización : Barcelona.

    Urdu Poetry Empty Re: Urdu Poetry

    Post  HAQ Tue Aug 11, 2009 5:07 pm

    Safar Tou Mein Nay Kia Tha
    Warna Saaz-0-Samaan Us Ke Thay

    Mein Tou Bas Raazdaar Tha Us Ka
    Warna Saaray Raaz Us Ke Thay

    Wo Darya Main Pyaasa Betha Tha
    Jab Ke Samandar Tamaam Us Ke Thay

    Wo Dhoop Main Betha Hai Chaon Denay Ko
    Jab Ke Darakht Saaray Saaya Daar Us ke Thay

    Yun Tou Ba-Zahir Logon Main Rizq Mein Ne Baanta Tha
    Laikin Dar Parda Saaray Haath Us Ke Thay

    Mein Nay Kamaal-E-Bulandi Par Ja Ke Ye Socha
    Ye Tou Saaray Kamaal Sirf Us Ke Thay
    _________________________________________________________

    Har Koi Dil Ki Hateli Pay Hai Sehra Rakhay
    Kis Ko Sairaab Karay Kis Ko Wo Pyasa Rakhay

    Umar Bhar Kon Nibhata Hai Taluq Itna
    Aey Meri Jaan Ke Dushman Tujhe ALLAH Rakhay

    Hum Ko Acha Nahi Lagta Koi Hum Naam Tera
    Koi Tujh Sa Ho Tou Phir Naam Bhi Tujh Sa Rakhay

    Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shakhs Se Wabasta Hai
    Jo Kisi Aur Ka Honay De Na Apna Rakhay

    Ye Qanaa'at Hai, Ataa'at Hai Ke Chahat Hai
    Hum Tou Raazi Hai Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhay
    _______________________________________________________

    Pathar Tha Magar Baraf Ke Gaalon Ki Tarah Tha
    Ek Shakhs Andheron Mein Ujalon Ki Tarah Tha

    Khawabon Ki Tarah Tha Na Khiyalon Ki Tarah Tha
    Woh ilm_E_Riyazi Kay Sawalon Ki Tarah Tha

    Uljha Hua Aisa Keh Kabhee Sulajh Nahi Paya
    Suljha Hua Aisa Keh Misalon Ki Tarah Tha

    Wo Mil Tou Gaya Tha Magar Apna Hee Mukaddar
    Shatranj Ki Uljhi Hui Chalon Ki Tarah Tha
    _______________________________________________________


    Kahan Mumkin Tha Mein Dil Sey "TERI" Yaadein Mita Deta
    Bhala Kaisey Mein Jee Paata Agar "TUJH" Ko Bhula Deta

    "TERI" Ruswai Ke Dar Sey Labon Ko Si Liya Warna,
    "TERE"Shehar-E-Munafiq Ki Mein Buniyadain Hila Deta,

    Kia Tarq-E-Wafa Us Ney Tou Hogi Us Ki Majboori,
    Jisay Barson Dua Dee Thi Usay Kya Baddua Deta!

    Khabar Hoti Agar Mujh Ko Nahi Hai "TU" Muqaddar Main,
    Usi Lamhay Mein Haathon Ki Lakeeron Ko Mita Deta!
    ________________________________________________________

    Aankhon Main Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Se
    Lub Pe Hain Kuch Sawal Se, Dil Main Hain Kuch Malaal Se

    Tu Jo Gaya To Yuun Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
    Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Se

    Itne Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
    So‘un Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Se

    Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
    Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Se

    Tujh Si Hasee‘n Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
    Dunia Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Se

    Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Ke Wo Mujhe
    Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Se

    ________________________________________________________

    Ek Chaand Tanha Khara Raha Meray Aasmaan Se Zara Paray
    Mera Sath Sath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Paray

    Teri Justuju Ke Hisaar Say, Teray Khawab Teraa Khayal Say
    Main Wo Shakhs Tha Jo Khara Raha Teri Chahaton Se Zara Paray

    Kabhi Dil Ki Baat Kahi Na Thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
    Meray Lafz Tou Pooray Tou Thay Mager Teri Sama'aton Se Zara Paray

    Tu Chala Gaya Meray Dost Zara Dekh Murr Ke Tou Ek Nazar
    Meri Kashtiyaan Hain Jali Hui Teray Saahilon Se Zara Paray

    ___________________________________________________________

    Us Ke Honton Ka Tabbasum Rahay Qayem Ya Rab
    Us Ke Jeevan Main Khushiyon Ka Basera Kar De

    Tu Meri Karb Ki Raaton Ko Bhalay Khatam Na Kar
    Us Ki Har Shaam Ke Aakh?r Main Sawera Kar De

    Us Ke Dil Ke Kisi Konay Main Jaga De Mujh Ko
    Us Ki Ankhon Ko Meray Sapnon Se Gehra Kar De

    Yeh Meray Dil Ki Dua Hai Meray Maula Sun Le
    Saari Duniya Se Chupa Kar Usay Mera Kar De
    ____________________________________________________________

    Jin Raahon Pe Aik Umar Teray Saath Raha Hoon
    Kuch Roz Sey Wo Raastay Sunsaan Bohot Hain

    Mil Jao Kabhi Laut Ke Phir Mein Aaoon Na Shayad
    Kamzor Hoon Mein Raah Main Toofaan Bohot Hain

    Aik Tum Hee Nahi Meri Judai Main Pareshan
    Hum Bhi Tou Teri Chaah Main Veeraan Bohot Hain

    Aik Tark-E-Wafa Pe Mein Usay Kaisay Bhula Doon
    Mujh Par Abhi Us Shakhs Ke Ehsaan Bohot Hain

    Bhar Ayen Na Aankhain Tou Mein Ek Baat Bataoon
    Ab Tujh Sey Bichar Janay Kay Imkaan Bohot Hain

    _____________________________________________________________

    Dil par aise be Azaabon Ko Utartay Dekha,
    Hum Ne Chup Chaap Usse Khud Se Bichartay Dekha,

    US Ko Socha To Har Soch Mein Khushbu Utri,
    Us Ko Likha To Har Lafz Mehektay Dekha,

    Yaad Aa Jaye To Qaabu Nhi Rehta Dil Par,
    Warna Duniya Ne B Hum Ko na Taraptay Dekha,

    Teri Soorat Ko Faqat Aankh Nhi Tarsi Hy,
    Raaston Ko B Teri Yaad Mein Rotay Dekha.!

    Hum Muhabbat Ke liye Aaj B Dewaane Hain,
    Ye Alag baat hy k tu ne nhi murr k dekha.
    _________________________________________________________________

    Apnay Saaye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Kar Rona
    Jab Bhi Rona Ho Charaaghon Ko Bujha Kar Rona

    Haath Bhi Jaatay Huye Wo Tou Mila Kar Na Gaya
    Mein Ne Chaaha Jisay Seenay Se Laga Kar Rona

    Teray Deewanay Ka Kya Haal Kia Hai Gham Ne
    Muskuratay Huye Logon Main Bhi Ja Kar Rona

    Log Parh Letay Hain Chehray Pe Likhi Tehreerain
    Kitna Dushwaar Hai Logon Se Chupa Kar Rona

    ____________________________________________________________________

    Ehl-E-Duniya Se Mohabbat Nahi Maangi Mein Nay
    Mar Gaya Phir Bhi Sahoolat Nahi Maangi Mein Nay

    Sirf Chaaha Hai Teray Dil Ki Tammana Hona
    Apnay Maalik Se Hukumat Nahi Maangi Mein Nay

    Mera Haq Hai Kay Mujhay Toot Kar Chaaha Jaye
    Is Liye Tujh Se Mohabbat Nahi Maangi Mein Nay

    Teri Aankhon Main Umadtay Huay Ansu Kya Hain
    Sirf Poocha Hai Wazahat Nahi Maangi Mein Nay

    Tum Ana Zaad Tou Sach Much Kay Khuda Ban Bethay
    Tum Se Tou Bheek Main Izzat Nahi Maangi Mein Nay

    Kyun Mujh Say Khafa Hoti Hai Zaalim Duniya
    Haq Maanga Hai Re'aayat Nahi Maangi Mein Nay
    _____________________________________________________________________

    Jab Kabhi Chaahay Kiye Andheron Main Ujalay Us Ne
    Kar Dia Ghar Mera Sholon Kay Hawalay Us Ne

    Us Pe Khul Jati Meray Shauq Ki Shiddat Saari
    Dekhay Hotay Jo Meray Paon Ke Chaalay Us Ne

    Jis Ka Har Aaib Zamanay Se Chupaya Mein Ne
    Meray Kissay Sar-E-Bazaar Uchalay Us Ne

    Jab Usay Meri Mohabbat Pe Bharosa Hee Na Tha
    Kyun Diye Logon Ko Meri Wafaon Ke Hawalay Us Ne

    Ek Mera Haath Hee Na Thaama Us Ne Warna
    Girtay Huye Kitnay Hee Sambhalay Us Ne
    ______________________________________________________________________

    Tumhain Mein Bhool Jaoonga Magar Waada Nahi Karta
    Hamesha Muskuraoonga Magar Waada Nahi Karta

    Tumhari Har Nishaani Ko Mein Darya Bard Kar Doonga
    Tumharay Khat Jalaoonga Magar Waada Nahi Karta

    Tumhara Ziker Hua Mehfil Main, Tou Khamosh Rehna Hai
    Mein Khud Ko Aazmaoonga Magar Waada Nahi Karta

    Tujhay Wapas Bulana Hai Na Daini Hai Sada Koi
    Mein Yun Dil Ko Manaoonga Magar Waada Nahi Karta

    Chalo Tum Se Ye Waada Hai Ke Dil Main Dard Hain Jitnay
    Kisi Ko Na Sunanoonga Magar Waada Nahi Karta

    Sitaaro Dard Ke Maaro Chalo Khuwabon Ki Duniya Main
    Mein Bhi So Hee Jaoonga Magar Waada Nahi Karta

    Chalo Tum Se Ye Waada Hai Koi Bhi Qeemati Moti
    Na Aankhon Se Giraoonga Magar Waada Nahi Karta
    _____________________________________________________________________

    Shab-E-Hijraan Ki Aziyat Ki Khabar Kis Ko Hai
    Meri Gumnaam Mohabbat Ki Khabar Kis Ko Hai

    Kis Ko Ehsaas Meray Shiddat-E-Jazbaat Ka Hai
    Meray Halaat Meri Wehshat Ki Khabar Kis Ko Hai

    Mein Nay Chup Chaap Mohabbat Ke Sitam Jhailay Hain
    Meri Is Darja Sharafat Ki Khabar Kis Ko Hai

    Kon Aye Ga Aey Dil Ab Tujh Ko Tasalli Dainay
    Teri Udaas Tabiyat Ki Khabar Kis Ko Hai

    ______________________________________________________________________

    Ujray Huay Logon Sey Guraizaan Na Hua Kar
    Halaat Ki Qabron Ke Ye Katbay Bhi Parha Kar

    Kia Janay Kyun Taiz Hawa Soch Main Gum Hai?
    Khwabeeda Parindon Ko Darakhton Sey Ura Kar

    Us Shakhs Ke Tum Sey Bhi Maraasim Tou Hongey
    Woh Jhoot Na Bolay Ga Meray Saamnay Aaa Kar

    Wo Dastakain Tou Dega Kahan, Aay Gham-E-Ehbaab!
    Mein Nay Tou Kaha Tha Kay Meray Dil Main Raha Kar

    Har Waqt Ka hasna Tujhay Barbaad Na Kar De
    Tanhai Ke Lamhon Main Kabhi Ro Bhi Lia Kar

    Wo Aaj Bhi Sadiyon Ki Musafat Pay Khara Hai
    Dhoonda Tha Jisay Waqt Ki Diwaar Gira Kar!!!
    ______________________________________________________________________

    Mera Azm Tou Tha Buland Tar Isay Haadson Nay Mita Dia
    Mein Musafaton Main Bikhar Gaya Mujhay Raaston Ney Ganwa Dia

    Teray Saath Chalnay Ka Hosla Meri Himmaton Sey Guzar Gaya
    Mein Tou Pehlay Hii Tha Shikasta-Paa Mujhay Aandhiyon Ney Gira Dia

    Teray Chehray Par Bhi Tou Phool Thay Teri Aankhon Main Bhi Tou Rang Thay
    Tu Ney Phool Bhii, Tu Ney Rang Bhi, Sabhi Aansoun Main Baha Dia

    Na Mein Chaaon Hoon Na Mein Dhoop Hoon Shikastgii Ka Wo Roop Hoon
    Mera Dil Gaya Meri Jaan Gai Mujhay Bijliyon Ney Jala Dia

    Tu Ney Sau Sitam Bhi Diye Tou Kya Mein Ney Seh Liye Teray Naam Par
    Teraay Zulm Ki Hai Yeh Inteha Tu Ney Dar Sey Apnay Uthaa Diya
    _______________________________________________________________________

    Agar Ansu Baha Deta Tou Us Ke Paas Kya Rehta
    Woh Mujh Ko Hosla Deta Tou Us Ke Paas Kya Rehta

    Nishan Mujh Ko Nahi Milta Koi Us Tak Pohonchnay Ka
    Mujhay Apna Pata Deta Tou Us Ke Paas Kya Rehta

    Woh Us Main MEIN Tha Ke Jis Ke Dam Pe Woh Zinda Hai
    Mein Us Ka Dil Dukha Deta Tou Us Ke Paas Kya Rehta

    Musaafir Saaray Phool Le Ke Apni Raah Chal Detay
    Shajar Tehni Jhuka Deta Tou Us Ke Paas Kya Rehta

    Meri Yaadon Nay Hee Ab Tak Usay Abaad Rakha Hai
    Woh Mujh Ko Bhi Bhula Deta Tou Us Ke Paas Kya Rehta

    _______________________________________________________________________

    Khamosh Chahton Ki Mehek Us Taraf Bhi Hai
    Hai Meray Dil Main Kasak, Us Taraf Bhi Hai

    Mein Bhi Beqaraar Usay Dekhnay Ko Hoon
    Meri Deed Ka Shauk Us Taraf Bhi Hai

    Izhar-E-Mohabbat Ko Tou Beqarar Hoon Mein
    Par Qayamat Si Betaabi Us Taraf Bhi Hai

    Wo Mera Nahi Phir Bhi Khuda Se Maangta Hoon Usay
    Duaon Main Mera Naam Us Taraf Bhi Hai
    _______________________________________________________________________

    Mauj-E-Toofan Se Larta Raha Mein Yahi Soch Kar,
    Kay isi Bujhti Hui Shamma Say Kabhi Roshni Hogi

    Magar afsos Bey Khauf Ho Kar Tor Dia Us Ne Mera Dil,
    Woh Jaanti Thi Usay Is Jurm Ki Saza Nahi Hogi

    Uski Yaadon Ne Bhar Dia Zakhmo Se Ye Jigar,
    Ab Tou Lagta Hai Meri Har Saans Aakhri Hogi
    _____________________________________________________________________

    TANHA REHNA SEEKH RAHA HUN
    MARR K JEENA SEEKH RAHA HUN
    CHAH K PANA SEEKH LIYA THA
    PA K KHONA SEEKH RAHA HUN
    HANSI KO ZAAD E RAH BANA KAR
    KANCH PY CHALNA SEEEKH RAHA HUN
    PHIRTAY PHIRTAY SEHRA SEHRA
    PYAS KO PEENA SEEKH RAHA HUN
    JEENAY Ke HAIN AJAB TAQAZAY
    ZINDA REHNA SEEKH RAHA HUN

    _____________________________________________________________________

    Meray Dil Ki Hai Yahi Aarzu, Mujhay Tu Hee Bas Mila Karay
    Yun Hee Chahay Mujh Ko Tu Umar Bhar, Na Shikayatain Na Gila Karay

    Meri Chahatain Meri Khuwahishain Meri Zindagi Hai Bas Teray Liye
    Meri Rab Se Yahi Dua Hai Bas, Tujhay Koi Na Mujh Se Juda Karay

    Meray Khuwab Meray Ye Ratt Jagay Meri Neend Bhi Hai Teray Liye
    Meri Zindagi Jo Bachi Hai Ab, Teray Naam Us Ko Khuda Karay

    Mujhay Zindagi Se Gila Nahi Mujhay Tujh Se Bas Yahi Aas Hai
    Mein Bhi Chahoon Tujh Ko Sada Yun Hee, Agar Tu Bhi Mujh Se Wafa Karay
    ______________________________________________________________________

    Phir Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujh Ko
    Kya Saza Dee Hai Mohabbat Ne Khudaya Mujh Ko

    Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi
    Janay Kis Khaak Say Qudrat Ne Banaya Mujh Ko

    Dukh Tou Ye Hai Ke Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
    Jo Mila Hai Woh Mila ban Kay Paraya Mujh Ko

    Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
    Ghar Ki Deewaron Ne Seenay Say Lagaya Mujh Ko

    Youn Tou Umeed-E-Wafa Tum Say Nahi Hai Koi
    Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

    Woh Diya Hoon Jo Mohabbat Nay Jalaya Tha Kabhi
    Gham Ki Aandhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko

    Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hai Tanha
    Maut Ne Pyar Se Pehlu Main Bithaya Mujh Ko
    _____________________________________________________________________

    Ishq Main Ghairat-E-Jazbaat Ne Ronay Na Dia
    Warna Kya Baat Hai, Kis Baat Ne Ronay Na Dia

    Aap Kehtay Hain Ke Ronay Se Na Badlain Gey Naseeb
    Umar Bhar Aap Ki is Baat Nay Ronay Na Dia

    Ronay Waalon Se Kaho Un Ka Bhi Rona Ro Lain
    Jin Ko Majboori-E-Haalaat Nay Ronay Na Dia

    Tujh Se Mil Kar Hamain Rona Tha Bohot
    Tangi-E-Waqt-E-Mulaaqaat Ne Ronay Na Dia

    Aik Do Roz Ka Sadma Ho Tou Ro Lain Hum Bhi
    Ham Ko Har Roz Kay Sadmaat Ne Ronay Na
    Dia
    Tani
    Tani


    Mensajes : 2023
    Fecha de inscripción : 2009-07-12

    Urdu Poetry Empty Re: Urdu Poetry

    Post  Tani Tue Aug 11, 2009 11:04 pm

    NICE POETRY HAQ THNKS FOR SHEARING
    Smile Smile SmileUrdu Poetry 65023610


    Last edited by Tani on Tue Aug 11, 2009 11:13 pm; edited 1 time in total
    Tani
    Tani


    Mensajes : 2023
    Fecha de inscripción : 2009-07-12

    Urdu Poetry Empty Re: Urdu Poetry

    Post  Tani Tue Aug 11, 2009 11:07 pm

    Main Nay Pucha Wafa se
    Kyun Milti Hai Bewafai Pyar Mein
    Wafa Nay Kaha Bewafa Jo Milte Hain Wafa Ki Aarr Mein!



    Aankhon Se Pucha Q Behti Ho Kisi Kay Intezar Me?
    Tu Aankhon Nay Kaha Bus Kisi Ko Dekhna Ki Aas Me!





    Dil Se Pucha Kyun Tarapta Hai Kisi Ki Yaad Me?
    Tu Dil Nay Kaha Toot Chuka Hoon Kisi Ka Pyar Me.............
    Urdu Poetry 19903510
    Tani
    Tani


    Mensajes : 2023
    Fecha de inscripción : 2009-07-12

    Urdu Poetry Empty Re: Urdu Poetry

    Post  Tani Tue Aug 11, 2009 11:12 pm

    Urdu Poetry 11766510




    KOI EHD BHI US KO YAD NAHI,
    KOI BAAT BHI US KO YAD NAHI,
    EK SHAKHS NE US KO CHAHA THA,
    WOH ZAAT BHI US KO YAD NAHIN,
    JAB SHAB KI BIJLI CHAMKI THI,
    AUR BADAL TOT K BARSA THA,
    HUM DONO JIS MEIN BHEGAY THE,
    WOH BARSAT BHI US KO YAD NAHI,
    WOH SAHIL DARYA PHOOL HAWA,
    WOH WADA SATH NIBHANAY KA,
    AUR SHAB BHAR "CHAND" KO DEKHA THA,
    WOH RAAT BHI US KO YAD NAHIN,
    WOH KEHTI THI MAIN SUNTA THA,
    WOH KEHTA THA WOH SUNTI THI,
    UN LAKHON BATON MEIN KOI EK BAAT BHI US KO YAAD NAHIN
    Tani
    Tani


    Mensajes : 2023
    Fecha de inscripción : 2009-07-12

    Urdu Poetry Empty Meri taqdeer say pooch

    Post  Tani Tue Aug 11, 2009 11:17 pm

    Urdu Poetry 2mrhbp10



    Meri taqdeer say pooch meri kismat ka faisla
    meri muskrahat pay na ja mere dard ko talash kar,




    Meri ankhon say pooch mere intizar ki inteha,
    mere etmenan pe na ja Mere sabar ko talash kar





    Mere doston se pooch meri chahat ka alam,
    meri surat pe na ja meri seerat ko talash kar




    Jo mil jayen tujhay mery sawalat k jawabat
    to phir ik zara sa kam kr Mujhay Khud Main Talash Kar


    Urdu Poetry 2mrhbp10
    Tani
    Tani


    Mensajes : 2023
    Fecha de inscripción : 2009-07-12

    Urdu Poetry Empty Re: Urdu Poetry

    Post  Tani Tue Aug 11, 2009 11:38 pm

    Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710


    Saliqa-e-ishq b mera bary kamal ka tha
    k iktayar b dil par ajab misal ka tha
    mohabaton may main kaiyal the lab na khulny ke
    jawab warna mery pass har sawal ka tha


    Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710Urdu Poetry 16710710
    Tani
    Tani


    Mensajes : 2023
    Fecha de inscripción : 2009-07-12

    Urdu Poetry Empty Re: Urdu Poetry

    Post  Tani Tue Aug 11, 2009 11:42 pm



    Urdu Poetry 35874110


    Zikr-e-shab-e-feeraaq se wehshat usse bhi thi
    Meri tarah kisi se mohabbat usse bhi thi
    Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ke deed ka
    Raastya badal ke chalne ki aadat usse bhi thi
    Sunata tha wo bhi sab ko puraani kahaniyan
    Taza rafaqaton ki zaroorat usse bhi thi
    Mujh se bichhad ke shehar mein ghul mil gaya wo shaks
    Halaan ke shehar bhar se raqaabat usse bhi thi
    Wo mujhse badh ke zabt ka aadi tha jee gaya
    Warna har ek saans qayaamat usse bhi thi.
    Aaye dil na jaan khud ko nakaam ke bad-zauq
    Wo mana nahi par mujhse mohabbat usse bhi thi



    Urdu Poetry 35874110

    Sponsored content


    Urdu Poetry Empty Re: Urdu Poetry

    Post  Sponsored content


      Current date/time is Fri Sep 20, 2024 1:21 am