Mohabat khwab ki sorat
nigahon mein utarti hai kisi mehtab ki sorat
sitare arzo ke iss tarha jagmagate hein
ke pehchani nahi jati dil-e-betab ki sorat
mohabt ke shajar per khwab ke panchi utarte hein
to shakkein jag uthti hein
takhe haare sitare jab zameen se baat karte hein
to kab ki muntazir ankhon mein shamein jag uthti hein
mohabt in mein jalti hai chragh-e-ab ki sorat
mohabt khwab ki sorat
mohabt dard ki sorat
guzashta mausomon ka istara ban ke rehti hai
shaban-e-hijar mein roshan sitara ban ke rehti hai
mundeeron per chraghon ki loain jab tharthrati hein
nagar mein na umeedi ki hawaein sansnati hein
gali mein jab koi ahat koi saya nahi rehta
dukhe dil ke liye jab koi dokha nahi rehta
ghamon ke bojh se jab totne lagte hein shane to
ye on pe hath rakhti hai
kisi hamdard ki sorat
mohabt khwab ki sorat
mohabt abar ki sorat
dilon ki sarzameein pe ghir ke ati aur barsti hai
chaman ka zara zara jhomta hai muskarata hai
azal ki be namo matti mein sabza sar uthata hai
mohabt on ko bhi abad-o-shdab karti hai
jo dil hain qabar ki sorat
mohabt khwab ki sorat
Thu Mar 21, 2013 1:15 pm by javeriaislam
» Is there any herbal treatment for schizophrenia???
Wed Mar 13, 2013 2:48 am by Emaan
» Ramdan Mubarak
Fri Jul 20, 2012 3:10 am by HAQ
» A girls Heart outside her body - GRAPHIC video
Tue Jun 12, 2012 2:56 am by HAQ
» 'A Talk with the Self '
Thu Jun 07, 2012 2:11 am by HAQ
» Welcome ZEE
Wed Jun 06, 2012 3:42 am by HAQ
» Welcome Noor7174
Wed Jun 06, 2012 3:38 am by HAQ
» Beauty Tips ....
Mon May 28, 2012 2:08 am by HAQ
» ProProtect Your Heart
Mon May 28, 2012 1:51 am by HAQ